Read the poems at your leisure

Buy the e-book version of the best of my poetry from Amazon.com on the following link and read the poetry you like, whenever you want.

http://www.amazon.in/gp/product/B013ZJB8BC

Friday, November 15, 2019

Kuch Wakt Chahiye

Ajeeb sa rishta hain
Is zindagi ke saath
Haseen si daud hain
Kab nikal jati hain
Bin aahat bin awaaz
Par kuch wakt chahiye
Samajne ko

Is daud main girte hain
hum kai baar,
uthte hain hum har baar
Par kuch wakt chahiye
Sambhalne ko

Dikhati hain yeh hame
Dher saari khushiyaan
Aur gum se bhari duniya
Par kuch wakt chahiye
Parakhne ko

Na din na raat
rukti hain ye daud
kabhi yaahan , kabhi waahan
bhagati hain har pal
Par kuch wakt chahiye
Badalne ko

Doosro ke saath is daud main
pyaar, dosti, gum aur dushmani
Banwati hain yeh zindagi
tudwati hain yeh zindagi
Par kuch wakt chahiye
akele guzaarne ko

Is daud bhag main
kab manzil aa gayi
pata hi na chala
shyam kab chaayi
pata bhi na chala
Sab dekh liya, sun liya
badal gaye, sambhal gaye
Samajh gaye, parakh gaye
Par kuch wakt chahiye ab
khud jeene ko.

No comments:

Post a Comment